Aaj kal startup ek real solution dene ka zariya kam aur ek fashion zyada ban gaya hai. Mujhe startup se problem nahi hai, par takleef us soch se hai jahan log bina kisi expertise ke sirf uske good side ko dekh kar is field mein aate hain. Unhe lagta hai ki startup matlab naam, fame, freedom aur funding. Lekin kahani ka doosra pehlu bhi hota hai jahan failures, pressure, sleepless nights aur kabhi kabhi poori savings ka doob jaana chhupa hota hai. Startup ek aisa game hai jise agar apne sahi strategy se khela, toh yeh apko khub kama ke dega. Lekin agar koi choti si chook bhi ho gayi toh yeh game apko sirf girata nahi, kabhi kabhi barbaad bhi kar deta hai. Bahut log apne startup ke bure waqt mein apni personal aur family ki income tak daal dete hain jo kabhi kabhi unke parivaar ke existence tak ko jhatka de jaata hai. Shayad main woh emotion uss tarah nahi rakh paya jaise mehsoos kiya par mujhe yakeen hai ap meri baat ke core ko zaroor samjhenge. Jai hind 👍
Download the medial app to read full posts, comements and news.